جس کوں تجھ غم سیں دل شگافی ہے
Siraj Aurangabadi (1712–1764)جس کوں تجھ غم سیں دل شگافی ہے
مرہم وصل اس کوں شافی ہے
ہوش کھونے کو مے نہیں درکار
گردش چشم مست کافی ہے
بے خطی میں عیاں ہے سبزۂ خط
تیرے عارض میں بس کہ صافی ہے
بخش میرے گناہ کوں آ مل
خط نہیں یہ خط معافی ہے
گل بدن کوں کہو کہ سیر کوں آ
آج ہر گل چمن میں لافی ہے
غضب یار سیں نہ ہو غمگیں
جور نہیں مہر کی تلافی ہے
رشتۂ آہ آتشیں سیں سراجؔ
مج کوں ہر رات شعلہ بافی ہے
jis kun tujh gham sin dil shigafi hai
marham-e-wasl is kun shafi hai
hosh khone ko mai nahin darkar
gardish-e-chashm-e-mast kafi hai
be khatti mein ayan hai sabza-e-khat
tere ariz mein bas ke safi hai
bakhsh mere gunah kun a mil
khat nahin ye khat-e-muafi hai
gul badan kun kaho ke sair kun a
aj har gul chaman mein lafi hai
ghazab-e-yar sin na ho ghamgin
jaur nahin mehr ki talafi hai
rishta-e-ah atishin sin siraj
maj kun har rat shola bafi hai