جاں بھی بجاں ہے ہجر میں اور دل فگار بھی
Nazeer Akbarabadi (1735–1830)جاں بھی بجاں ہے ہجر میں اور دل فگار بھی
تر ہے مژہ بھی اشک سے جیب بھی اور کنار بھی
طرفہ فسوں سرشت ہے چشم کرشمہ سنج یار
لیتی ہے اک نگاہ میں صبر بھی اور قرار بھی
کوچے میں اس کے بیٹھنا حسن کو اس کے دیکھنا
ہم تو اسی کو سمجھے ہیں باغ بھی اور بہار بھی
دیکھیے کیا ہو بے طرح دل کی لگے ہیں گھات میں
غمزۂ پر فریب بھی عشوۂ سحر کار بھی
زلف کو بھی ہے دم بہ دم عزم کمند افگنی
دام لیے ہے مستعد طرۂ تابدار بھی
بیٹھے بتوں کی بزم میں جن کی ہے قدر جب وہ لوگ
اپنے فریب و فن سے واں تھا یہ خراب و خوار بھی
گننے لگے وہ اپنے جب چاہنے والوں کو نظیرؔ
اٹھ کے یکایک اس گھڑی ہم نے کہا "ہیں یار بھی"
jan bhi bajan hai hijr mein aur dil-e-figar bhi
tar hai mizha bhi ashk se jeb bhi aur kanar bhi
turfa fusun sarisht hai chashm-e-karishma sanj-e-yar
leti hai ik nigah mein sabr bhi aur qarar bhi
kuche mein us ke baithna husn ko us ke dekhna
ham to usi ko samjhe hain bagh bhi aur bahar bhi
dekhiye kya ho be tarah dil ki lage hain ghat mein
ghamza-e-pur fareb bhi ishwa-e-sehr kar bhi
zulf ko bhi hai dam ba dam azm-e-kamand afgani
dam liye hai mustaid turra-e-tabdar bhi
baithe buton ki bazm mein jin ki hai qadr jab wo log
apne fareb-o-fan se wan tha ye kharab-o-khwar bhi
ginne lage wo apne jab chahne walon ko nazir
uth ke yakayak us ghari ham ne kaha "hain yar bhi"