تھی چھوٹی اس کے مکھڑے پر کل زلف مسلسل اور طرح
Nazeer Akbarabadi (1735–1830)تھی چھوٹی اس کے مکھڑے پر کل زلف مسلسل اور طرح
پھر دیکھا آج تو اس گل کے تھے کاکل کے بل اور طرح
وہ دیکھ جھڑکتا ہے ہم کو کر غصہ ہر دم اور ہمیں
ہے چین اسی کے ملنے سے زنہار نہیں کل اور طرح
معلوم نہیں کیا بات کہی غماز نے اس سے جو ہم سے
تھیں پہلی باتیں اور نمط اب بولے ہے چنچل اور طرح
دل مجھ سے اس کے ملنے کو کہتا ہے تو اس کے پاس مجھے
جب لے پہنچا تھا بھیس بدل پھر اب کے لے چل اور طرح
ہے کتنے دنوں سے عشق نظیرؔ اس یار کا ہم کو جس کی ہیں
صبح اور برن شام اور پھبن آج اور دوش کل اور طرح
thi chhoti us ke mukhre par kal zulf-e-musalsal aur tarah
phir dekha aj to us gul ke the kakul ke bal aur tarah
wo dekh jhirakta hai ham ko kar ghussa har dam aur hamen
hai chain usi ke milne se zinhar nahin kal aur tarah
maalum nahin kya bat kahi ghammaz ne us se jo ham se
thin pahli baten aur namat ab bole hai chanchal aur tarah
dil mujh se us ke milne ko kahta hai to us ke pas mujhe
jab le pahuncha tha bhes badal phir ab ke le chal aur tarah
hai kitne dinon se ishq nazir us yar ka ham ko jis ki hain
subh aur baran sham aur phaban aj aur dosh kal aur tarah