اندھا
میکش حیدرآبادیسنتا ہے حسن شمس و قمر دیکھتا نہیں
یعنی نظام شام و سحر دیکھتا نہیں
اس کے بھی پیرہن پہ گناہوں کے داغ ہیں
دنیا کو چاہتا ہے مگر دیکھتا نہیں
اس کو بھی ہیں نصیب محبت کی لذتیں
دل تھامتا ہے تیر نظر دیکھتا نہیں
اس کے بھی دل میں آگ بھڑکتی ہے عشق کی
جلتا ہے اور رقص شرر دیکھتا نہیں
اس کے بھی سر نے پایا ہے احساس بندگی
سجدہ میں گر تو جاتا ہے در دیکھتا نہیں
اس کو سنبھال لیتی ہیں ہر بار ٹھوکریں
چلتا ہے اور راہ گزر دیکھتا نہیں
باتوں سے تاڑ لیتا ہے باطن کی حالتیں
ملتا ہے اور روئے بشر دیکھتا نہیں
ہنستا ہے صرف اپنے لئے غیر پر نہیں
روتا ہے اور دامن تر دیکھتا نہیں
معلوم ہے تمول و غربت کی کشمکش
آنکھوں سے امتیاز نظر دیکھتا نہیں
اس کو سکون چاہئے جینے کے واسطے
رہتا ہے اور اپنا ہی گھر دیکھتا نہیں
sunta hai husn shams-o-qamar dekhta nahin
yaani nizam-e-sham-o-sahar dekhta nahin
us ke bhi pairahan pe gunahon ke dagh hain
duniya ko chahta hai magar dekhta nahin
us ko bhi hain nasib-e-mohabbat ki lazzaten
dil thamta hai tir-e-nazar dekhta nahin
us ke bhi dil mein ag bharakti hai ishq ki
jalta hai aur raqs-e-sharar dekhta nahin
us ke bhi sar ne paya hai ehsas-e-bandagi
sajda mein gar to jata hai dar dekhta nahin
us ko sambhal leti hain har bar thokaren
chalta hai aur rah guzar dekhta nahin
baton se tar leta hai batin ki halaten
milta hai aur ru-e-bashar dekhta nahin
hansta hai sirf apne liye ghair par nahin
rota hai aur daman-e-tar dekhta nahin
maalum hai tamawwul-o-ghurbat ki kashmakash
ankhon se imtiyaz-e-nazar dekhta nahin
us ko sukun chahiye jine ke waste
rahta hai aur apna hi ghar dekhta nahin