بتان ماہ وش اجڑی ہوئی منزل میں رہتے ہیں
Dagh Dehlvi (1831–1905)بتان ماہ وش اجڑی ہوئی منزل میں رہتے ہیں
کہ جس کی جان جاتی ہے اسی کے دل میں رہتے ہیں
ہزاروں داغ پنہاں عاشقوں کے دل میں رہتے ہیں
شرر پتھر کی صورت ان کی آب و گل میں رہتے ہیں
زمیں پر پاؤں نفرت سے نہیں رکھتے پری پیکر
یہ گویا اس مکاں کی دوسری منزل میں رہتے ہیں
محبت میں مزا ہے چھیڑ کا لیکن مزے کی ہو
ہزاروں لطف ہر اک شکوۂ باطل میں رہتے ہیں
خدا رکھے سلامت جن کو ان کو موت کب آئے
تڑپتے لوٹتے ہم کوچۂ قاتل میں رہتے ہیں
ہزاروں حسرتیں وہ ہیں کہ روکے سے نہیں رکتیں
بہت ارمان ایسے ہیں کہ دل کے دل میں رہتے ہیں
یہاں تک تھک گئے ہیں چلتے چلتے تیرے ہاتھوں سے
کہ اب چھپ چھپ کے ناوک سینۂ بسمل میں رہتے ہیں
نہ دیکھے ہوں گے رندوں سے بھی تو نے پاک اے زاہد
کہ یہ بے داغ مے خانے کی آب و گل میں رہتے ہیں
محیط عشق کی ہر موج طوفاں خیز ایسی ہے
وہ ہیں گرداب میں جو دامن ساحل میں رہتے ہیں
خدا رکھے محبت نے کیے آباد دونوں گھر
میں ان کے دل میں رہتا ہوں وہ میرے دل میں رہتے ہیں
جو ہوتی خوبصورت تو نہ چھپتی قیس سے لیلیٰ
مگر ایسے ہی ویسے پردۂ محمل میں رہتے ہیں
ہمارے سائے سے بچتا ہے ہر اک بزم میں اس کی
ہمیں دیکھو کہ ہم تنہا بھری محفل میں رہتے ہیں
سراغ مہر و الفت غیر کے دل میں نہ پائیں گے
عبث وہ رات دن اس سعی بے حاصل میں رہتے ہیں
بتوں کو محرم اسرار تو نے کیوں کیا یا رب
کہ یہ کافر ہر اک خلوت سرائے دل میں رہتے ہیں
فلک دشمن ہوا گردش زدوں کو جب ملی راحت
زیادہ راہ سے کھٹکے مجھے منزل میں رہتے ہیں
تن آسانی کہاں تقدیر میں ہم دل گرفتوں کی
خدا پر خوب روشن ہے کہ جس مشکل میں رہتے ہیں
butan-e-mah wash ujri hui manzil mein rahte hain
ke jis ki jan jati hai usi ke dil mein rahte hain
hazaron dagh pinhan ashiqon ke dil mein rahte hain
sharar patthar ki surat un ki ab-o-gul mein rahte hain
zamin par paon nafrat se nahin rakhte pari paikar
ye goya is makan ki dusri manzil mein rahte hain
mohabbat mein maza hai chher ka lekin maze ki ho
hazaron lutf har ik shikwa-e-batil mein rahte hain
khuda rakhe salamat jin ko un ko maut kab ae
tarapte lautte ham kucha-e-qatil mein rahte hain
hazaron hasraten wo hain ke roke se nahin ruktin
bahut arman aise hain ke dil ke dil mein rahte hain
yahan tak thak gae hain chalte chalte tere hathon se
ke ab chhup chhup ke nawak sina-e-bismil mein rahte hain
na dekhe honge rindon se bhi tu ne pak ai zahid
ke ye be dagh mai khane ki ab-o-gul mein rahte hain
muhit-e-ishq ki har mauj-e-tufan khez aisi hai
wo hain girdab mein jo daman-e-sahil mein rahte hain
khuda rakhe mohabbat ne kiye abad donon ghar
main un ke dil mein rahta hun wo mere dil mein rahte hain
jo hoti khubsurat to na chhupti qais se laila
magar aise hi waise parda-e-mahmil mein rahte hain
hamare sae se bachta hai har ik bazm mein us ki
hamen dekho ke ham tanha bhari mahfil mein rahte hain
suragh-e-mehr-o-ulfat ghair ke dil mein na paenge
abas wo rat din is sai-e-be hasil mein rahte hain
buton ko mahram-e-asrar tu ne kyun kiya ya rab
ke ye kafir har ik khalwat sarae dil mein rahte hain
falak dushman hua gardish zadon ko jab mili rahat
ziyada rah se khatke mujhe manzil mein rahte hain
tan asani kahan taqdir mein ham dil girafton ki
khuda par khub raushan hai ke jis mushkil mein rahte hain