ummīdoñ se dil-e-barbād ko ābād kartā hūñ
امیدوں سے دل برباد کو آباد کرتا ہوںامیدوں سے دل برباد کو آباد کرتا ہوں
مٹانے کے لئے دنیا نئی ایجاد کرتا ہوں
تری میعاد غم پوری ہوئی اے زندگی خوش ہو
قفس ٹوٹے نہ ٹوٹے میں تجھے آزاد کرتا ہوں
جفا کارو مری مظلوم خاموشی پہ ہنستے ہو
ذرا ٹھہرو ذرا دم لو ابھی فریاد کرتا ہوں
میں اپنے دل کا مالک ہوں مرا دل ایک بستی ہے
کبھی آباد کرتا ہوں کبھی برباد کرتا ہوں
ملاقاتیں بھی ہوتی ہیں ملاقاتوں کے بعد اکثر
وہ مجھ کو بھول جاتے ہیں میں ان کو یاد کرتا ہوں
خودی کی ابتدا یہ تھی کہ اپنے آپ میں گم تھا
خودی کی انتہا یہ ہے خدا کو یاد کرتا ہوں
بتوں کے عشق میں کھویا گیا ہوں ورنہ اے اخترؔ
خدا شاہد ہے میں اکثر خدا کو یاد کرتا ہوں
ummīdoñ se dil-e-barbād ko ābād kartā hūñ
miṭāne ke liye duniyā na.ī ījād kartā hūñ
tirī mī.ād-e-ġham pūrī huī ai zindagī ḳhush ho
qafas ṭūṭe na ṭūṭe meñ tujhe āzād kartā hūñ
jafā kāro mirī mazlūm ḳhāmoshī pe hañste ho
zarā ṭhahro zarā dam lo abhī fariyād kartā hūñ
maiñ apne dil kā mālik hūñ mirā dil ek bastī hai
kabhī ābād kartā hūñ kabhī barbād kartā hūñ
mulāqāteñ bhī hotī haiñ mulāqātoñ ke ba.ad aksar
vo mujh ko bhūl jāte haiñ maiñ un ko yād kartā hūñ
ḳhudī kī ibtidā ye thī ke apne āp meñ gum thā
ḳhudī kī intihā ye hai ḳhudā ko yād kartā hūñ
butoñ ke ishq meñ khoyā gayā hūñ varna ai aḳhtar
ḳhudā shāhid hai maiñ aksar ḳhudā ko yād kartā hūñ