ہماری گائے
Ismail Meeruthi (1844–1917)رب کا شکر ادا کر بھائی
جس نے ہماری گائے بنائی
اس مالک کو کیوں نہ پکاریں
جس نے پلائیں دودھ کی دھاریں
خاک کو اس نے سبزہ بنایا
سبزے کو پھر گائے نے کھایا
کل جو گھاس چری تھی بن میں
دودھ بنی اب گائے کے تھن میں
سبحان اللہ دودھ ہے کیسا
تازہ گرم سفید اور میٹھا
دودھ میں بھیگی روٹی میری
اس کے کرم نے بخشی سیری
دودھ دہی اور میٹھا مسکا
دے نہ خدا تو کس کے بس کا
گائے کو دی کیا اچھی صورت
خوبی کی ہے گویا مورت
دانہ دنکا بھوسی چوکر
کھا لیتی ہے سب خوش ہو کر
کھا کر تنکے اور ٹھیٹھرے
دودھ ہے دیتی شام سویرے
کیا ہی غریب اور کیسی پیاری
صبح ہوئی جنگل کو سدھاری
سبزے سے میدان ہرا ہے
جھیل میں پانی صاف بھرا ہے
پانی موجیں مار رہا ہے
چرواہا چمکار رہا ہے
پانی پی کر چارا چر کر
شام کو آئی اپنے گھر پر
دوری میں جو دن ہے کاٹا
بچے کو کس پیار سے چاٹا
گائے ہمارے حق میں ہے نعمت
دودھ ہے دیتی کھا کے بنسپت
بچھڑے اس کے بیل بنائے
جو کھیتی کے کام میں آئے
رب کی حمد و ثنا کر بھائی
جس نے ایسی گائے بنائی
rab ka shukr ada kar bhai
jis ne hamari gae banai
is malik ko kyun na pukaren
jis ne pilaen dudh ki dharen
khak ko us ne sabza banaya
sabze ko phir gae ne khaya
kal jo ghas chari thi ban mein
dudh bani ab gae ke than mein
subhan allah dudh hai kaisa
taza garm safed aur mitha
dudh mein bhigi roti meri
us ke karam ne bakhshi sairi
dudh dahi aur mitha maska
de na khuda to kis ke bas ka
gae ko di kya achchhi surat
khubi ki hai goya murat
dana dunka bhusi chokar
kha leti hai sab khush ho kar
kha kar tinke aur thithire
dudh hai deti sham sawere
kya hi gharib aur kaisi pyari
subh hui jangal ko sidhari
sabze se maidan hara hai
jhil mein pani saf bhara hai
pani maujen mar raha hai
charwaha chamkar raha hai
pani pi kar chara char kar
sham ko ai apne ghar par
duri mein jo din hai kata
bachche ko kis pyar se chata
gae hamare haq mein hai nemat
dudh hai deti kha ke bansapat
bichhre us ke bel banae
jo kheti ke kam mein ae
rab ki hamd-o-sana kar bhai
jis ne aisi gae banai