نفسیات غلامی
Allama Iqbal (1877–1938)شاعر بھی ہیں پیدا، عُلما بھی، حُکما بھی
خالی نہیں قوموں کی غلامی کا زمانہ
مقصد ہے ان اللہ کے بندوں کا مگر ایک
ہر ایک ہے گو شرحِ معانی میں یگانہ
بہتر ہے کہ شیروں کو سِکھا دیں رمِ آہُو
باقی نہ رہے شیر کی شیری کا فسانہ،
کرتے ہیں غلاموں کو غلامی پہ رضامند
تاویلِ مسائل کو بناتے ہیں بہانہ
shayar bhi hain paida, ulama bhi, hukama bhi
khali nahin qaumon ki ghulami ka zamana
maqsad hai un allah ke bandon ka magar ek
har ek hai go sharh-e-maani mein yagana
behtar hai ke sheron ko sikha den ram-e-ahu
baqi na rahe sher ki sheri ka fasana,
karte hain ghulamon ko ghulami pe razamand
tawil-e-masail ko banate hain bahana