مرد بزرگ
Allama Iqbal (1877–1938)اُس کی نفرت بھی عمیق، اُس کی محبّت بھی عمیق
قہر بھی اُس کا ہے اللہ کے بندوں پہ شفیق
پرورش پاتا ہے تقلید کی تاریکی میں
ہے مگر اُس کی طبیعت کا تقاضا تخلیق
انجمن میں بھی میَسّر رہی خلوَت اُس کو
شمعِ محفل کی طرح سب سے جُدا، سب کا رفیق
مثلِ خورشیدِ سحَر فکر کی تابانی میں
بات میں سادہ و آزادہ، معانی میں دقیق
اُس کا اندازِ نظر اپنے زمانے سے جُدا
اُس کے احوال سے محرم نہیں پیرانِ طریق
us ki nafrat bhi amiq, us ki mohabbat bhi amiq
qahr bhi us ka hai allah ke bandon pe shafiq
parwarish pata hai taqlid ki tariki mein
hai magar us ki tabiat ka taqaza takhliq
anjuman mein bhi muyassar rahi khalwat us ko
sham-e-mahfil ki tarah sab se juda, sab ka rafiq
misl-e-khurshid-e-sahar fikr ki tabani mein
bat mein sada-o-azada, maani mein daqiq
us ka andaz-e-nazar apne zamane se juda
us ke ahwal se mahram nahin piran-e-tariq