فلسفہ
Allama Iqbal (1877–1938)افکار جوانوں کے خفی ہوں کہ جلی ہوں
پوشیدہ نہیں مرد قلندر کی نظر سے
معلوم ہیں مجھ کو ترے احوال کہ میں بھی
مدت ہوئی گزرا تھا اسی راہ گزر سے
الفاظ کے پیچوں میں الجھتے نہیں دانا
غواص کو مطلب ہے صدف سے کہ گہر سے
پیدا ہے فقط حلقہ ارباب جنوں میں
وہ عقل کہ پا جاتی ہے شعلے کو شرر سے
جس معنی پیچیدہ کی تصدیق کرے دل
قیمت میں بہت بڑھ کے ہے تابندہ گہر سے
یا مردہ ہے یا نزع کی حالت میں گرفتار
جو فلسفہ لکھا نہ گیا خون جگر سے
afkar jawanon ke khafi hun ke jali hun
poshida nahin mard-e-qalandar ki nazar se
maalum hain mujh ko tire ahwal ke main bhi
muddat hui guzra tha isi rah guzar se
alfaz ke pechon mein ulajhte nahin dana
ghawwas ko matlab hai sadaf se ke guhar se
paida hai faqat halqa-e-arbab-e-junun mein
wo aql ke pa jati hai shole ko sharar se
jis maani pechida ki tasdiq kare dil
qimat mein bahut barh ke hai tabinda guhar se
ya murda hai ya nazaa ki halat mein giraftar
jo falsafa likha na gaya khun-e-jigar se