عاشقوں کے سیر کرنے کا جہاں ہی اور ہے
Shah Hatim (1699–1783)عاشقوں کے سیر کرنے کا جہاں ہی اور ہے
ان کے عالم کا زمین و آسماں ہی اور ہے
پوچھتا پھرتا ہے کیا ہر ایک سے ان کا سراغ
لا مکاں ہیں ان کو رہنے کا مکاں ہی اور ہے
آزمائش ان کی وضعوں کا تجھے ہے گا ضرر
یہ وہ فرقہ ہے کہ ان کا امتحاں ہی اور ہے
کیا خریدے گا خراب آباد کے بازار میں
درد کی ہو جنس جس میں وہ دکاں ہی اور ہے
سنگ و گل کا طوف ہو تجھ کو مبارک حاجیو
حضرت دل کے حرم کا کارواں ہی اور ہے
بیٹھنے کو شاخ طوبیٰ پر نہیں کرتیں نگاہ
اس چمن کی بلبلوں کا آشیاں ہی اور ہے
اس کو کیا نسبت کسی افسانۂ و قصے کے ساتھ
عشق کے دفتر کی حاتمؔ داستاں ہی اور ہے
ashiqon ke sair karne ka jahan hi aur hai
un ke alam ka zamin-o-asman hi aur hai
puchhta phirta hai kya har ek se un ka suragh
la makan hain un ko rahne ka makan hi aur hai
azmaish un ki wazon ka tujhe hai ga zarar
ye wo firqa hai ke un ka imtihan hi aur hai
kya kharidega kharab abad ke bazar mein
dard ki ho jins jis mein wo dukan hi aur hai
sang-o-gul ka tauf ho tujh ko mubarak hajiyo
hazrat-e-dil ke haram ka karwan hi aur hai
baithne ko shakh-e-tuba par nahin kartin nigah
is chaman ki bulbulon ka ashiyan hi aur hai
us ko kya nisbat kisi afsana-e-o qisse ke sath
ishq ke daftar ki hatim dastan hi aur hai