صنم کے دیکھ کر لب اور دہن سرخ
Shah Hatim (1699–1783)صنم کے دیکھ کر لب اور دہن سرخ
ہوا ہے خون بلبل سے چمن سرخ
شہید لالہ رویاں کو بجا ہے
دفن کے وقت گر کیجے کفن سرخ
ہوا مجنوں کے حق میں دشت گل زار
کیا ہے عشق کے ٹیسو نے بن سرخ
گلوں کا رنگ اب زرد ہو گیا ہے
چمن میں دیکھ کر تیرا بدن سرخ
کر حاتمؔ یاد احوال شہیداں
شفق سے جب کہ ہوتا ہے گگن سرخ
sanam ke dekh kar lab aur dahan surkh
hua hai khun-e-bulbul se chaman surkh
shahid-e-lala rawiyan ko baja hai
dafn ke waqt gar kije kafan surkh
hawa majnun ke haq mein dasht-e-gul zar
kya hai ishq ke tesu ne ban surkh
gulon ka rang ab zard ho gaya hai
chaman mein dekh kar tera badan surkh
kar hatim yad ahwal shahidan
shafaq se jab ke hota hai gagan surkh