سلیمی
Allama Iqbal (1877–1938)جس کی نمود دیکھی چشمِ ستارہ بیں نے
خورشید میں، قمر میں، تاروں کی انجمن میں
صُوفی نے جس کو دل کے ظُلمت کدے میں پایا
شاعر نے جس کو دیکھا قُدرت کے بانکپن میں
جس کی چمک ہے پیدا، جس کی مہک ہویدا
شبنم کے موتیوں میں، پھُولوں کے پیرہن میں
صحرا کو ہے بسایا جس نے سکُوت بن کر
ہنگامہ جس کے دم سے کاشانۂ چمن میں
ہر شے میں ہے نمایاں یوں تو جمال اس کا
آنکھوں میں ہے سُلَیمیٰ! تیری کمال اس کا
jis ki numud dekhi chashm-e-sitara bin ne
khurshid mein, qamar mein, taron ki anjuman mein
sufi ne jis ko dil ke zulmat kade mein paya
shayar ne jis ko dekha qudrat ke bankpan mein
jis ki chamak hai paida, jis ki mahak huwaida
shabnam ke motiyon mein, phulon ke pairahan mein
sahra ko hai basaya jis ne sukut ban kar
hangama jis ke dam se kashana-e-chaman mein
har shai mein hai numayan yun to jamal us ka
ankhon mein hai sulaima! teri kamal us ka