ستاروں سے آگے جہاں اور بھی ہیں
Allama Iqbal (1877–1938)ستاروں سے آگے جہاں اور بھی ہیں
ابھی عشق کے امتحاں اور بھی ہیں
تہی، زندگی سے نہیں یہ فضائیں
یہاں سینکڑوں کارواں اور بھی ہیں
قناعت نہ کر عالمِ رنگ و بُو پر
چمن اور بھی آشیاں اور بھی ہیں
اگر کھو گیا اک نشیمن تو کیا غم
مقاماتِ آہ و فغاں اور بھی ہیں
تو شاہیں ہے، پرواز ہے کام تیرا
ترے سامنے آسماں اور بھی ہیں
اسی روز و شب میں اُلجھ کر نہ رہ جا
کہ تیرے زمان و مکاں اور بھی ہیں
گئے دن کہ تنہا تھا مَیں انجمن میں
یہاں اب مِرے رازداں اور بھی ہیں
sitaron se age jahan aur bhi hain
abhi ishq ke imtihan aur bhi hain
tahi, zindagi se nahin ye fazaen
yahan sainkron karwan aur bhi hain
qanaat na kar alam-e-rang-o-bu par
chaman aur bhi ashiyan aur bhi hain
agar kho gaya ik nasheman to kya gham
maqamat-e-ah-o-fughan aur bhi hain
tu shahin hai, parwaz hai kam tera
tire samne asman aur bhi hain
usi roz-o-shab mein ulajh kar na rah ja
ke tere zaman-o-makan aur bhi hain
gae din ke tanha tha main anjuman mein
yahan ab mire razdan aur bhi hain