دُرّاج کی پرواز میں ہے شوکتِ شاہیں
Allama Iqbal (1877–1938)دُرّاج کی پرواز میں ہے شوکتِ شاہیں
حیرت میں ہے صیّاد، یہ شاہیں ہے کہ دُرّاج!
ہر قوم کے افکار میں پیدا ہے تلاطُم
مشرق میں ہے فردائے قیامت کی نمود آج
فطرت کے تقاضوں سے ہُوا حشر پہ مجبور
وہ مُردہ کہ تھا بانگِ سرافیل کا محتاج
durraj ki parwaz mein hai shaukat-e-shahin
hairat mein hai sayyad, ye shahin hai ke durraj!
har qaum ke afkar mein paida hai talatum
mashriq mein hai farda-e-qayamat ki numud aj
fitrat ke taqazon se hua hashr pe majbur
wo murda ke tha bang-e-sarafil ka mohtaj