آزادی نسواں
Allama Iqbal (1877–1938)اس بحث کا کچھ فیصلہ مَیں کر نہیں سکتا
گو خوب سمجھتا ہوں کہ یہ زہر ہے، وہ قند
کیا فائدہ، کچھ کہہ کے بنوں اَور بھی معتوب
پہلے ہی خفا مجھ سے ہیں تہذیب کے فرزند
اس راز کو عورت کی بصیرت ہی کرے فاش
مجبور ہیں، معذور ہیں، مردانِ خِرد مند
کیا چیز ہے آرائش و قیمت میں زیادہ
آزادیِ نِسواں کہ زمرّد کا گُلوبند!
is bahs ka kuchh faisla main kar nahin sakta
go khub samajhta hun ke ye zahr hai, wo qand
kya faida, kuchh kah ke banun aur bhi maatub
pahle hi khafa mujh se hain tahzib ke farzand
is raz ko aurat ki basirat hi kare fash
majbur hain, maazur hain, mardan-e-khirad mand
kya chiz hai araish-o-qimat mein ziyada
azadi-e-niswan ke zamurrad ka galoband!