جہاد
Allama Iqbal (1877–1938)فتویٰ ہے شیخ کا یہ زمانہ قلم کا ہے
دُنیا میں اب رہی نہیں تلوار کارگر
لیکن جنابِ شیخ کو معلوم کیا نہیں؟
مسجد میں اب یہ وعظ ہے بے سُود و بے اثر
تیغ و تُفنگ دستِ مسلماں میں ہے کہاں
ہو بھی، تو دل ہیں موت کی لذّت سے بے خبر
کافر کی موت سے بھی لَرزتا ہو جس کا دل
کہتا ہے کون اُسے کہ مسلماں کی موت مر
تعلیم اُس کو چاہیے ترکِ جہاد کی
دُنیا کو جس کے پنجۂ خُونیں سے ہو خطر
باطل کے فال و فر کی حفاظت کے واسطے
یورپ زِرہ میں ڈوب گیا دوش تا کمر
ہم پُوچھتے ہیں شیخِ کلیسا نواز سے
مشرق میں جنگ شر ہے تو مغرب میں بھی ہے شر
حق سے اگر غرض ہے تو زیبا ہے کیا یہ بات
اسلام کا محاسبہ، یورپ سے درگزر!
fatwa hai shaikh ka ye zamana qalam ka hai
duniya mein ab rahi nahin talwar kargar
lekin janab-e-shaikh ko maalum kya nahin?
masjid mein ab ye waaz hai be sud-o-be asar
tegh-o-tufang dast-e-musalman mein hai kahan
ho bhi, to dil hain maut ki lazzat se be khabar
kafir ki maut se bhi larazta ho jis ka dil
kahta hai kaun use ke musalman ki maut mar
taalim us ko chahiye tark-e-jihad ki
duniya ko jis ke panja-e-khunin se ho khatar
batil ke fal-o-far ki hifazat ke waste
yorap zira mein dub gaya dosh ta kamar
ham puchhte hain shaikh-e-kalisa nawaz se
mashriq mein jang shar hai to maghrib mein bhi hai shar
haq se agar gharaz hai to zeba hai kya ye bat
islam ka muhasaba, yorap se darguzar!