حال ومقام
Allama Iqbal (1877–1938)دل زندہ و بیدار اگر ہو تو بتدریج
بندے کو عطا کرتے ہیں چشمِ نِگَراں اور
احوال و مقامات پہ موقوف ہے سب کچھ
ہر لحظہ ہے سالک کا زماں اور مکاں اور
الفاظ و معانی میں تفاوت نہیں لیکن
مُلّا کی اذاں اور، مجاہد کی اذاں اور
پرواز ہے دونوں کی اسی ایک فضا میں
کرگس کا جہاں اور ہے، شاہیں کا جہاں اور
dil zinda-o-bedar agar ho to batadrij
bande ko ata karte hain chashm-e-nigaran aur
ahwal-o-maqamat pe mauquf hai sab kuchh
har lahza hai salik ka zaman aur makan aur
alfaz-o-maani mein tafawut nahin lekin
mulla ki azan aur, mujahid ki azan aur
parwaz hai donon ki usi ek faza mein
kargas ka jahan aur hai, shahin ka jahan aur