جلوہء حسن
Allama Iqbal (1877–1938)جلوۂ حُسن کہ ہے جس سے تمنّا بے تاب
پالتا ہے جسے آغوشِ تخیّل میں شباب
ابَدی بنتا ہے یہ عالمِ فانی جس سے
ایک افسانۂ رنگیں ہے جوانی جس سے
جو سِکھاتا ہے ہمیں سر بہ گریباں ہونا
منظرِ عالمِ حاضر سے گُریزاں ہونا
دُور ہو جاتی ہے ادراک کی خامی جس سے
عقل کرتی ہے تاثّر کی غلامی جس سے
آہ! موجود بھی وہ حُسن کہیں ہے کہ نہیں
خاتَمِ دہر میں یا رب وہ نگیں ہے کہ نہیں
jalwa-e-husn ke hai jis se tamanna be tab
palta hai jise aghosh-e-takhayyul mein shabab
abadi banta hai ye alam-e-fani jis se
ek afsana-e-rangin hai jawani jis se
jo sikhata hai hamen sar ba gareban hona
manzar-e-alam-e-hazir se gurezan hona
dur ho jati hai idrak ki khami jis se
aql karti hai taassur ki ghulami jis se
ah! maujud bhi wo husn kahin hai ke nahin
khatam-e-dahr mein ya rab wo nagin hai ke nahin