جلوے مری نگاہ میں کون و مکاں کے ہیں
Dagh Dehlvi (1831–1905)جلوے مری نگاہ میں کون و مکاں کے ہیں
مجھ سے کہاں چھپیں گے وہ ایسے کہاں کے ہیں
کھلتے نہیں ہیں راز جو سوز نہاں کے ہیں
کیا پھوٹنے کے واسطے چھالے زباں کے ہیں
کرتے ہیں قتل وہ طلب مغفرت کے بعد
جو تھے دعا کے ہاتھ وہی امتحاں کے ہیں
جس روز کچھ شریک ہوئی میری مشت خاک
اس روز سے زمیں پہ ستم آسماں کے ہیں
بازو دکھائے تم نے لگا کر ہزار ہاتھ
پورے پڑے تو وہ بھی بہت امتحاں کے ہیں
ناصح کے سامنے کبھی سچ بولتا نہیں
میری زباں میں رنگ تمہاری زباں کے ہیں
کیسا جواب حضرت دل دیکھیے ذرا
پیغام بر کے ہاتھ میں ٹکڑے زباں کے ہیں
کیا اضطراب شوق نے مجھ کو خجل کیا
وہ پوچھتے ہیں کہئے ارادے کہاں کے ہیں
عاشق ترے عدم کو گئے کس قدر تباہ
پوچھا ہر ایک نے یہ مسافر کہاں کے ہیں
ہر چند داغؔ ایک ہی عیار ہے مگر
دشمن بھی تو چھٹے ہوئے سارے جہاں کے ہیں
jalwe miri nigah mein kaun-o-makan ke hain
mujh se kahan chhupenge wo aise kahan ke hain
khulte nahin hain raz jo soz-e-nihan ke hain
kya phutne ke waste chhale zaban ke hain
karte hain qatl wo talab maghfirat ke baad
jo the dua ke hath wahi imtihan ke hain
jis roz kuchh sharik hui meri musht-e-khak
us roz se zamin pe sitam asman ke hain
bazu dikhae tum ne laga kar hazar hath
pure pare to wo bhi bahut imtihan ke hain
naseh ke samne kabhi sach bolta nahin
meri zaban mein rang tumhari zaban ke hain
kaisa jawab-e-hazrat-e-dil dekhiye zara
paigham bar ke hath mein tukre zaban ke hain
kya iztirab-e-shauq ne mujh ko khajil kiya
wo puchhte hain kahiye irade kahan ke hain
ashiq tire adam ko gae kis qadar tabah
puchha har ek ne ye musafir kahan ke hain
har chand dagh ek hi ayyar hai magar
dushman bhi to chhute hue sare jahan ke hain