ہند کے جاں باز سپاہی
برق دہلویسر بکف ہند کے جاں باز وطن لڑتے ہیں
تیغ نو لے صف دشمن میں گھسے پڑتے ہیں
ایک کھاتے ہیں تو دو منہ پہ وہیں جڑتے ہیں
حشر کر دیتے ہیں برپا یہ جہاں اڑتے ہیں
جوش میں آتے ہیں دریا کی روانی کی طرح
خون دشمن کا بہا دیتے ہیں پانی کی طرح
جب بڑھاتے ہیں قدم پیچھے پھر ہٹتے ہی نہیں
حوصلے ان کے جو بڑھتے ہیں تو گھٹتے ہی نہیں
دم پیکار حریفوں سے یہ کٹتے ہی نہیں
الٹے قدموں پہ بلا فتح پلٹتے ہی نہیں
ہیچ ہیں ان کے لیے آہنی دیواریں بھی
روک سکتی نہیں فولاد کی دیواریں بھی
جذبۂ حب وطن دل میں نہاں رکھتے ہیں
مثل خوں جوش یہ رگ رگ میں رواں رکھتے ہیں
سر ہتھیلی پہ تو قبضے میں سناں رکھتے ہیں
آنکھ جھپکانے کی بھی تاب کہاں رکھتے ہیں
نکلی ہی پڑتی ہیں خود میان سے تیغیں ان کی
ڈھونڈھتی اپنا مقابل ہیں نگاہیں ان کی
کھنچ کے دشمن سے گلے تیغ رواں ملتی ہے
دم دفنا کرنے کو غارت گر جاں ملتی ہے
خون کا بہتا ہے دریا یہ جہاں ملتی ہے
موت کی گود میں دشمن کو اماں ملتی ہے
تیغ کے گھاٹ اترتا ہے مقابل ان کا
رن میں پانی بھی نہیں مانگتا بسمل ان کا
وار بھولے سے بھی پڑتا نہیں اوچھا ان کا
ہاتھ ہوتا ہے زباں کی طرح سچا ان کا
جس نے دیکھا کبھی منہ دیکھا نہ پیچھا ان کا
موت بھی مانتی ہے رزم میں لوہا ان کا
رن میں بپھرے ہوئے شیروں کی طرح لڑتے ہیں
صاف کر دیتے ہیں جس صف پہ یہ جا پڑتے ہیں
منہ پہ تلوار کی چڑھتے ہیں سپر کی صورت
تیغ کے پھل کو یہ کھاتے ہیں ثمر کی صورت
حوصلے اور بڑھاتی ہے خطر کی صورت
موت میں بھی نظر آتی ہے ظفر کی صورت
چھلنی ہو جاتا ہے زخموں سے اگر تن ان کا
تیغ کے سایہ میں بن جاتا ہے مدفن ان کا
رزم کو بزم سمجھتے ہیں یہ مردان وطن
شاہد مرگ ہے ان کے لیے چوتھی کی دلہن
یہ وہ سر باز ہیں رکھتے ہیں بہم تیغ و کفن
ہاتھ دکھلاتے ہیں جب پڑتا ہے گھمسان کا رن
ان کی شمشیر دو پیکر پہ ظفر صدقے ہے
ان کا برطانیہ کے نام پہ سر صدقے ہے
sar bakaf hind ke jan baz watan larte hain
tegh-e-nau le saf-e-dushman mein ghise parte hain
ek khate hain to do munh pe wahin jurte hain
hashr kar dete hain barpa ye jahan urte hain
josh mein ate hain dariya ki rawani ki tarah
khun dushman ka baha dete hain pani ki tarah
jab barhate hain qadam pichhe phir hatte hi nahin
hausle un ke jo barhte hain to ghatte hi nahin
dam-e-paikar harifon se ye katte hi nahin
ulte qadmon pe bala fath palatte hi nahin
hech hain un ke liye ahani diwaren bhi
rok sakti nahin faulad ki diwaren bhi
jazba-e-hub-e-watan dil mein nihan rakhte hain
misl-e-khun josh ye rag rag mein rawan rakhte hain
sar hatheli pe to qabze mein sinan rakhte hain
ankh jhapkane ki bhi tab kahan rakhte hain
nikli hi parti hain khud miyan se teghen un ki
dhundhti apna muqabil hain nigahen un ki
khinch ke dushman se gale tegh-e-rawan milti hai
dam dafna karne ko gharat gar jan milti hai
khun ka bahta hai dariya ye jahan milti hai
maut ki god mein dushman ko aman milti hai
tegh ke ghat utarta hai muqabil un ka
ran mein pani bhi nahin mangta bismil un ka
war bhule se bhi parta nahin ochha un ka
hath hota hai zaban ki tarah sachcha un ka
jis ne dekha kabhi munh dekha na pichha un ka
maut bhi manti hai razm mein loha un ka
ran mein biphre hue sheron ki tarah larte hain
saf kar dete hain jis saf pe ye ja parte hain
munh pe talwar ki charhte hain sipar ki surat
tegh ke phal ko ye khate hain samar ki surat
hausle aur barhati hai khatar ki surat
maut mein bhi nazar ati hai zafar ki surat
chhalni ho jata hai zakhmon se agar tan un ka
tegh ke saya mein ban jata hai madfan un ka
razm ko bazm samajhte hain ye mardan-e-watan
shahid-e-marg hai un ke liye chauthi ki dulhan
ye wo sar baz hain rakhte hain baham tegh-o-kafan
hath dikhlate hain jab parta hai ghumsan ka ran
un ki shamshir do paikar pe zafar sadqe hai
un ka bartanya ke nam pe sar sadqe hai