ہم تو یاں مرتے ہیں واں اس کو خبر کچھ بھی نہیں
Qalaq Meerathi (1835–1880)ہم تو یاں مرتے ہیں واں اس کو خبر کچھ بھی نہیں
اے وہ سب کچھ ہی سہی عشق مگر کچھ بھی نہیں
تم کو فریاد ستم کش کا خطر کچھ بھی نہیں
کچھ تو الفت کا اثر ہے کہ اثر کچھ بھی نہیں
عافیت ایک اور آزار ہزاروں اس میں
جس کو کچھ سود نہیں اس کو ضرر کچھ بھی نہیں
خلوت راز میں کیا کام ہے ہنگامے کا
ہے خبردار وہی جس کو خبر کچھ بھی نہیں
تو اور اک شان کہ عالم کی نظر میں کیا کچھ
میں اور اک جان کہ پھرتے ہی نظر کچھ بھی نہیں
رحم ہے اس کا ہی آشوب قیامت کی دلیل
جس سے بیزار ہے وہ اس کو خطر کچھ بھی نہیں
ہم کو اس حوصلے پہ کیوں کہ فلک دے ساماں
شکوۂ بار ہے اور منت سر کچھ بھی نہیں
راہیٔ ملک عدم ہیں نہیں فکر منزل
قصد رکھتے ہیں ادھر کا کہ جدھر کچھ بھی نہیں
زیست افسون تماشا ہے توہم کے لئے
ہوتی ہے جلوہ نما مثل شرر کچھ بھی نہیں
خود پرستی کے سبب شیخ و برہمن کو ہے خبط
سب ادھر ہی کی بناوٹ ہے ادھر کچھ بھی نہیں
عاقبت بیں کو ہے ہر بزم کی شادی ماتم
شمع روتی ہے کہ ہوتے ہی سحر کچھ بھی نہیں
روز فرقت کی درازی سے نہ دیکھے شب ہجر
حسرت شام میں تشویش سحر کچھ بھی نہیں
جانتے ہیں کہ نہ بھٹکے گا جہاں کیا کیا کچھ
دیکھتے ہیں کہ انہیں مد نظر کچھ بھی نہیں
اے قلقؔ پیتے ہی مسجد میں چلے آتے ہو
بے خبر کتنے ہو تم بھی کہ خبر کچھ بھی نہیں
ham to yan marte hain wan us ko khabar kuchh bhi nahin
ai wo sab kuchh hi sahi ishq magar kuchh bhi nahin
tum ko fariyad sitam kash ka khatar kuchh bhi nahin
kuchh to ulfat ka asar hai ke asar kuchh bhi nahin
afiyat ek aur azar hazaron is mein
jis ko kuchh sud nahin us ko zarar kuchh bhi nahin
khalwat-e-raz mein kya kam hai hangame ka
hai khabardar wahi jis ko khabar kuchh bhi nahin
tu aur ik shan ke alam ki nazar mein kya kuchh
main aur ik jan ke phirte hi nazar kuchh bhi nahin
rahm hai us ka hi ashob-e-qayamat ki dalil
jis se bezar hai wo us ko khatar kuchh bhi nahin
ham ko is hausle pe kyun ke falak de saman
shikwa-e-bar hai aur minnat-e-sar kuchh bhi nahin
rahi-e-mulk-e-adam hain nahin fikr-e-manzil
qasd rakhte hain idhar ka ke jidhar kuchh bhi nahin
zist afsun-e-tamasha hai tawahhum ke liye
hoti hai jalwa numa misl-e-sharar kuchh bhi nahin
khud parasti ke sabab shaikh-o-barahman ko hai khabt
sab idhar hi ki banawat hai idhar kuchh bhi nahin
aqibat bin ko hai har bazm ki shadi matam
shama roti hai ke hote hi sahar kuchh bhi nahin
roz-e-furqat ki darazi se na dekhe shab-e-hijr
hasrat-e-sham mein tashwish-e-sahar kuchh bhi nahin
jante hain ke na bhatkega jahan kya kiya kuchh
dekhte hain ke unhen mad-e-nazar kuchh bhi nahin
ai qalaq pite hi masjid mein chale ate ho
be khabar kitne ho tum bhi ke khabar kuchh bhi nahin