ہر طرف یار کا تماشا ہے
Siraj Aurangabadi (1712–1764)ہر طرف یار کا تماشا ہے
اس کے دیدار کا تماشا ہے
عشق اور عقل میں ہوئی ہے شرط
جیت اور ہار کا تماشا ہے
خلوت انتظار میں اس کی
در و دیوار کا تماشا ہے
سینۂ داغ داغ میں میرے
صحن گل زار کا تماشا ہے
ہے شکار کمند عشق سراجؔ
اس گلے ہار کا تماشا ہے
har taraf yar ka tamasha hai
us ke didar ka tamasha hai
ishq aur aql mein hui hai shart
jit aur har ka tamasha hai
khalwat-e-intizar mein us ki
dar-o-diwar ka tamasha hai
sina-e-dagh dagh mein mere
sehn-e-gul zar ka tamasha hai
hai shikar-e-kamand-e-ishq siraj
is gale har ka tamasha hai