جسے لوگ کہتے ہیں تیرگی وہی شب حجاب سحر بھی ہے
Firaq Gorakhpuri (1896–1982)جسے لوگ کہتے ہیں تیرگی وہی شب حجاب سحر بھی ہے
جنہیں بے خودئ فنا ملی انہیں زندگی کی خبر بھی ہے
ترے اہل دید کو دیکھ کے کبھی کھل سکا ہے یہ راز بھی
انہیں جس نے اہل نظر کیا وہ ترا خراب نظر بھی ہے
یہ وصال و ہجر کی بحث کیا کہ عجیب چیز ہے عشق بھی
تجھے پا کے ہے وہی درد دل وہی رنگ زخم جگر بھی ہے
یہ نصیب عشق کی گردشیں کہ زماں مکاں سے گزر کے بھی
وہی آسماں وہی شام غم وہی شام غم کی سحر بھی ہے
ترے کیف حسن کی جان ہے مری بے دلی و فسردگی
جسے کہتے ہیں غم رائگاں وہ لئے ہوئے کچھ اثر بھی ہے
نہ رہا حیات کی منزلوں میں وہ فرق ناز و نیاز بھی
کہ جہاں ہے عشق برہنہ پا وہیں حسن خاک بسر بھی ہے
وہ غم فراق بھی کٹ گیا وہ ملال عشق بھی مٹ گیا
مگر آج بھی ترے ہاتھ میں وہی آستیں ہے کہ تر بھی ہے
دم حشر ازل کی بھی یاد کر یہ زبان کیا یہ نگاہ کیا
جو کسی سے آج نہ ہو سکا وہ سوال بار دگر بھی ہے
جو وصال و ہجر سے دور ہے جو کرم ستم سے ہے بے خبر
کچھ اٹھا ہوا ہے وہ درد بھی کچھ اٹھی ہوئی وہ نظر بھی ہے
یہ پتہ ہے اس کی عنایتوں نے خراب کتنوں کو کر دیا
یہ خبر ہے نرگس نیم وا کہ گرہ میں فتنۂ شر بھی ہے
اسی شام مرگ کی تیرگی میں ہیں جلوہ ہائے حیات بھی
انہیں ظلمتوں کے حجاب میں یہ چمک یہ رقص شرر بھی ہے
وہی درد بھی ہے دوا بھی ہے وہی موت بھی ہے حیات بھی
وہی عشق ناوک ناز ہے وہی عشق سینہ سپر بھی ہے
تو زماں مکاں سے گزر بھی جا تو رہ عدم کو بھی کاٹ لے
وہ ثواب ہو کہ عذاب ہو کہیں زندگی سے مفر بھی ہے
جو گلے تک آ کے اٹک گیا جسے تلخ کام نہ پی سکے
وہ لہو کا گھونٹ اتر گیا تو سنا ہے شیر و شکر بھی ہے
کوئی اہل دل کو کمی نہیں مگر اہل دل کا یہ قول ہے
ابھی موت بھی نہیں مل سکی ابھی زندگی میں کسر بھی ہے
بڑی چیز دولت و جاہ ہے بڑی وسعتیں ہیں نصیب اسے
مگر اہل دولت و جاہ میں کہیں آدمی کا گزر بھی ہے
یہ شب دراز بھی کٹ گئی وہ ستارے ڈوبے وہ پو پھٹی
سر راہ غفلت خواب سے اب اٹھو کہ وقت سحر بھی ہے
جو الٹ چکے ہیں بساط دہر کو اگلے وقتوں میں بارہا
وہی آج گردش بخت ہے وہی رنگ دور قمر بھی ہے
نہ غم عذاب و ثواب سے کبھی چھیڑ فطرت عشق کو
جو ازل سے مست نگاہ ہے اسے نیک و بد کی خبر بھی ہے
وہ تمام شکر و رضا سہی وہ تمام صبر و سکوں سہی
تو ہے جس سے مائل امتحاں وہ فرشتہ ہے تو بشر بھی ہے
نہ کہو تغافل حسن سے کوئی کار سازیٔ غم کرے
کہ جو آج غم سے نکل گئی وہ دعا خراب اثر بھی ہے
ترے غم کی عمر دراز میں کئی انقلاب ہوئے مگر
وہی طول شام فراقؔ ہے وہی انتظار سحر بھی ہے
jise log kahte hain tirgi wahi shab hijab-e-sahar bhi hai
jinhen be khudi-e-fana mili unhen zindagi ki khabar bhi hai
tire ahl-e-did ko dekh ke kabhi khul saka hai ye raz bhi
unhen jis ne ahl-e-nazar kya wo tira kharab nazar bhi hai
ye wisal-o-hijr ki bahs kya ke ajib chiz hai ishq bhi
tujhe pa ke hai wahi dard-e-dil wahi rang zakhm-e-jigar bhi hai
ye nasib ishq ki gardishen ke zaman makan se guzar ke bhi
wahi asman wahi sham-e-gham wahi sham-e-gham ki sahar bhi hai
tire kaif-e-husn ki jan hai miri be dili-o-fasurdagi
jise kahte hain gham-e-raigan wo liye hue kuchh asar bhi hai
na raha hayat ki manzilon mein wo farq-e-naz-o-niyaz bhi
ke jahan hai ishq barahna pa wahin husn khak basar bhi hai
wo gham-e-firaq bhi kat gaya wo malal-e-ishq bhi mit gaya
magar aj bhi tire hath mein wahi astin hai ke tar bhi hai
dam-e-hashr azal ki bhi yad kar ye zaban kya ye nigah kya
jo kisi se aj na ho saka wo sawal bar-e-digar bhi hai
jo wisal-o-hijr se dur hai jo karam sitam se hai be khabar
kuchh utha hua hai wo dard bhi kuchh uthi hui wo nazar bhi hai
ye pata hai us ki inayaton ne kharab kitnon ko kar diya
ye khabar hai nargis-e-nim wa ke girah mein fitna-e-shar bhi hai
usi sham marg ki tirgi mein hain jalwa ha-e-hayat bhi
unhen zulmaton ke hijab mein ye chamak ye raqs-e-sharar bhi hai
wahi dard bhi hai dawa bhi hai wahi maut bhi hai hayat bhi
wahi ishq nawak-e-naz hai wahi ishq sina sipar bhi hai
tu zaman makan se guzar bhi ja to rah-e-adam ko bhi kat le
wo sawab ho ke azab ho kahin zindagi se mafar bhi hai
jo gale tak a ke atak gaya jise talkh kam na pi sake
wo lahu ka ghunt utar gaya to suna hai sher-o-shakar bhi hai
koi ahl-e-dil ko kami nahin magar ahl-e-dil ka ye qaul hai
abhi maut bhi nahin mil saki abhi zindagi mein kasar bhi hai
bari chiz daulat-o-jah hai bari wusaten hain nasib use
magar ahl-e-daulat-o-jah mein kahin admi ka guzar bhi hai
ye shab-e-daraz bhi kat gai wo sitare dube wo pau phati
sar-e-rah-e-ghaflat khwab se ab utho ke waqt-e-sahar bhi hai
jo ulat chuke hain bisat-e-dahr ko agle waqton mein barha
wahi aj gardish-e-bakht hai wahi rang daur-e-qamar bhi hai
na gham-e-azab-o-sawab se kabhi chher fitrat-e-ishq ko
jo azal se mast-e-nigah hai use nek-o-bad ki khabar bhi hai
wo tamam shukr-o-raza sahi wo tamam sabr-o-sukun sahi
tu hai jis se mail-e-imtihan wo farishta hai to bashar bhi hai
na kaho taghaful-e-husn se koi kar sazi-e-gham kare
ke jo aj gham se nikal gai wo dua kharab asar bhi hai
tire gham ki umr-e-daraz mein kai inqilab hue magar
wahi tul-e-sham firaq hai wahi intizar-e-sahar bhi hai