جنون کارگر ہے اور میں ہوں
Firaq Gorakhpuri (1896–1982)جنون کارگر ہے اور میں ہوں
حیات بے خبر ہے اور میں ہوں
مٹا کر دل نگاہ اولیں سے
تقاضائے دگر ہے اور میں ہوں
کہاں میں آ گیا اے زور پرواز
وبال بال و پر ہے اور میں ہوں
نگاہ اولیں سے ہو کے برباد
تقاضائے دگر ہے اور میں ہوں
مبارک باد ایام اسیری
غم دیوار و در ہے اور میں ہوں
تری جمعیتیں ہیں اور تو ہے
حیات منتشر ہے اور میں ہوں
کوئی ہو سست پیماں بھی تو یوں ہو
یہ شام بے سحر ہے اور میں ہوں
نگاہ بے محابا تیرے صدقے
کئی ٹکڑے جگر ہے اور میں ہوں
ٹھکانا ہے کچھ اس عذر ستم کا
تری نیچی نظر ہے اور میں ہوں
فراقؔ اک ایک حسرت مٹ رہی ہے
یہ ماتم رات بھر ہے اور میں ہوں
junun-e-kargar hai aur main hun
hayat-e-be khabar hai aur main hun
mita kar dil nigah-e-awwalin se
taqaza-e-digar hai aur main hun
kahan main a gaya ai zor-e-parwaz
wabal-e-bal-o-par hai aur main hun
nigah-e-awwalin se ho ke barbad
taqaza-e-digar hai aur main hun
mubarak bad-e-ayyam-e-asiri
gham-e-diwar-o-dar hai aur main hun
tiri jamiyyaten hain aur to hai
hayat-e-muntashir hai aur main hun
koi ho sust paiman bhi to yun ho
ye sham-e-be sahar hai aur main hun
nigah-e-be muhaba tere sadqe
kai tukre jigar hai aur main hun
thikana hai kuchh is uzr-e-sitam ka
tiri nichi nazar hai aur main hun
firaq ik ek hasrat mit rahi hai
ye matam rat bhar hai aur main hun