کسی کا یوں تو ہوا کون عمر بھر پھر بھی
Firaq Gorakhpuri (1896–1982)کسی کا یوں تو ہوا کون عمر بھر پھر بھی
یہ حسن و عشق تو دھوکا ہے سب مگر پھر بھی
ہزار بار زمانہ ادھر سے گزرا ہے
نئی نئی سی ہے کچھ تیری رہ گزر پھر بھی
کہوں یہ کیسے ادھر دیکھ یا نہ دیکھ ادھر
کہ درد درد ہے پھر بھی نظر نظر پھر بھی
خوشا اشارۂ پیہم زہے سکوت نظر
دراز ہو کے فسانہ ہے مختصر پھر بھی
جھپک رہی ہیں زمان و مکاں کی بھی آنکھیں
مگر ہے قافلہ آمادۂ سفر پھر بھی
شب فراق سے آگے ہے آج میری نظر
کہ کٹ ہی جائے گی یہ شام بے سحر پھر بھی
کہیں یہی تو نہیں کاشف حیات و ممات
یہ حسن و عشق بظاہر ہیں بے خبر پھر بھی
پلٹ رہے ہیں غریب الوطن پلٹنا تھا
وہ کوچہ روکش جنت ہو گھر ہے گھر پھر بھی
لٹا ہوا چمن عشق ہے نگاہوں کو
دکھا گیا وہی کیا کیا گل و ثمر پھر بھی
خراب ہو کے بھی سوچا کیے ترے مہجور
یہی کہ تیری نظر ہے تری نظر پھر بھی
ہو بے نیاز اثر بھی کبھی تری مٹی
وہ کیمیا ہی سہی رہ گئی کسر پھر بھی
لپٹ گیا ترا دیوانہ گرچہ منزل سے
اڑی اڑی سی ہے یہ خاک رہ گزر پھر بھی
تری نگاہ سے بچنے میں عمر گزری ہے
اتر گیا رگ جاں میں یہ نیشتر پھر بھی
غم فراق کے کشتوں کا حشر کیا ہوگا
یہ شام ہجر تو ہو جائے گی سحر پھر بھی
فنا بھی ہو کے گراں باریٔ حیات نہ پوچھ
اٹھائے اٹھ نہیں سکتا یہ درد سر پھر بھی
ستم کے رنگ ہیں ہر التفات پنہاں میں
کرم نما ہیں ترے جور سر بسر پھر بھی
خطا معاف ترا عفو بھی ہے مثل سزا
تری سزا میں ہے اک شان در گزر پھر بھی
اگرچہ بے خودیٔ عشق کو زمانہ ہوا
فراقؔ کرتی رہی کام وہ نظر پھر بھی
kisi ka yun to hua kaun umr bhar phir bhi
ye husn-o-ishq to dhoka hai sab magar phir bhi
hazar bar zamana idhar se guzra hai
nai nai si hai kuchh teri rah guzar phir bhi
kahun ye kaise idhar dekh ya na dekh idhar
ke dard dard hai phir bhi nazar nazar phir bhi
khusha ishara-e-paiham zahe sukut-e-nazar
daraz ho ke fasana hai mukhtasar phir bhi
jhapak rahi hain zaman-o-makan ki bhi ankhen
magar hai qafila amada-e-safar phir bhi
shab-e-firaq se age hai aj meri nazar
ke kat hi jaegi ye sham-e-be sahar phir bhi
kahin yahi to nahin kashif-e-hayat-o-mamat
ye husn-o-ishq bazahir hain be khabar phir bhi
palat rahe hain gharib alwatan palatna tha
wo kucha rukash jannat ho ghar hai ghar phir bhi
luta hua chaman ishq hai nigahon ko
dikha gaya wahi kya kya gul-o-samar phir bhi
kharab ho ke bhi socha kiye tire mahjur
yahi ke teri nazar hai tiri nazar phir bhi
ho be niyaz asar bhi kabhi tiri mitti
wo kimiya hi sahi rah gai kasar phir bhi
lipat gaya tira diwana garche manzil se
uri uri si hai ye khak-e-rah guzar phir bhi
tiri nigah se bachne mein umr guzri hai
utar gaya rag-e-jan mein ye neshtar phir bhi
gham-e-firaq ke kishton ka hashr kya hoga
ye sham-e-hijr to ho jaegi sahar phir bhi
fana bhi ho ke giran bari-e-hayat na puchh
uthae uth nahin sakta ye dard-e-sar phir bhi
sitam ke rang hain har iltifat pinhan mein
karam numa hain tire jaur-e-sar basar phir bhi
khata muaf tira afw bhi hai misl-e-saza
tiri saza mein hai ik shan dar guzar phir bhi
agarche be khudi-e-ishq ko zamana hua
firaq karti rahi kam wo nazar phir bhi