پھر اسی رہ گزار پر شاید
Ahmad Faraz (1931–2008)پھر اسی رہ گزار پر شاید
ہم کبھی مل سکیں مگر شاید
جن کے ہم منتظر رہے ان کو
مل گئے اور ہم سفر شاید
جان پہچان سے بھی کیا ہوگا
پھر بھی اے دوست غور کر شاید
اجنبیت کی دھند چھٹ جائے
چمک اٹھے تری نظر شاید
زندگی بھر لہو رلائے گی
یاد یاران بے خبر شاید
جو بھی بچھڑے وہ کب ملے ہیں فرازؔ
پھر بھی تو انتظار کر شاید
phir isi rah guzar par shayad
ham kabhi mil saken magar shayad
jin ke ham muntazir rahe un ko
mil gae aur ham safar shayad
jan pahchan se bhi kya hoga
phir bhi ai dost ghaur kar shayad
ajnabiyyat ki dhund chhut jae
chamak uthe tiri nazar shayad
zindagi bhar lahu rulaegi
yad yaran-e-be khabar shayad
jo bhi bichhre wo kab mile hain faraz
phir bhi to intizar kar shayad