جس سمت بھی دیکھوں نظر آتا ہے کہ تم ہو
Ahmad Faraz (1931–2008)جس سمت بھی دیکھوں نظر آتا ہے کہ تم ہو
اے جان جہاں یہ کوئی تم سا ہے کہ تم ہو
یہ خواب ہے خوشبو ہے کہ جھونکا ہے کہ پل ہے
یہ دھند ہے بادل ہے کہ سایا ہے کہ تم ہو
اس دید کی ساعت میں کئی رنگ ہیں لرزاں
میں ہوں کہ کوئی اور ہے دنیا ہے کہ تم ہو
دیکھو یہ کسی اور کی آنکھیں ہیں کہ میری
دیکھوں یہ کسی اور کا چہرہ ہے کہ تم ہو
یہ عمر گریزاں کہیں ٹھہرے تو یہ جانوں
ہر سانس میں مجھ کو یہی لگتا ہے کہ تم ہو
ہر بزم میں موضوع سخن دل زدگاں کا
اب کون ہے شیریں ہے کہ لیلیٰ ہے کہ تم ہو
اک درد کا پھیلا ہوا صحرا ہے کہ میں ہوں
اک موج میں آیا ہوا دریا ہے کہ تم ہو
وہ وقت نہ آئے کہ دل زار بھی سوچے
اس شہر میں تنہا کوئی ہم سا ہے کہ تم ہو
آباد ہم آشفتہ سروں سے نہیں مقتل
یہ رسم ابھی شہر میں زندہ ہے کہ تم ہو
اے جان فرازؔ اتنی بھی توفیق کسے تھی
ہم کو غم ہستی بھی گوارا ہے کہ تم ہو
jis samt bhi dekhun nazar ata hai ke tum ho
ai jan-e-jahan ye koi tum sa hai ke tum ho
ye khwab hai khushbu hai ke jhonka hai ke pal hai
ye dhund hai badal hai ke saya hai ke tum ho
is did ki saat mein kai rang hain larzan
main hun ke koi aur hai duniya hai ke tum ho
dekho ye kisi aur ki ankhen hain ke meri
dekhun ye kisi aur ka chehra hai ke tum ho
ye umr-e-gurezan kahin thahre to ye janun
har sans mein mujh ko yahi lagta hai ke tum ho
har bazm mein mauzu-e-sukhan dil zadagan ka
ab kaun hai shirin hai ke laila hai ke tum ho
ik dard ka phaila hua sahra hai ke main hun
ik mauj mein aya hua dariya hai ke tum ho
wo waqt na ae ke dil-e-zar bhi soche
is shahr mein tanha koi ham sa hai ke tum ho
abad ham ashufta saron se nahin maqtal
ye rasm abhi shahr mein zinda hai ke tum ho
ai jan faraz itni bhi taufiq kise thi
ham ko gham-e-hasti bhi gawara hai ke tum ho