ابھی کچھ اور کرشمے غزل کے دیکھتے ہیں
Ahmad Faraz (1931–2008)ابھی کچھ اور کرشمے غزل کے دیکھتے ہیں
فرازؔ اب ذرا لہجہ بدل کے دیکھتے ہیں
جدائیاں تو مقدر ہیں پھر بھی جان سفر
کچھ اور دور ذرا ساتھ چل کے دیکھتے ہیں
رہ وفا میں حریف خرام کوئی تو ہو
سو اپنے آپ سے آگے نکل کے دیکھتے ہیں
تو سامنے ہے تو پھر کیوں یقیں نہیں آتا
یہ بار بار جو آنکھوں کو مل کے دیکھتے ہیں
یہ کون لوگ ہیں موجود تیری محفل میں
جو لالچوں سے تجھے مجھ کو جل کے دیکھتے ہیں
یہ قرب کیا ہے کہ یک جاں ہوئے نہ دور رہے
ہزار ایک ہی قالب میں ڈھل کے دیکھتے ہیں
نہ تجھ کو مات ہوئی ہے نہ مجھ کو مات ہوئی
سو اب کے دونوں ہی چالیں بدل کے دیکھتے ہیں
یہ کون ہے سر ساحل کہ ڈوبنے والے
سمندروں کی تہوں سے اچھل کے دیکھتے ہیں
ابھی تلک تو نہ کندن ہوئے نہ راکھ ہوئے
ہم اپنی آگ میں ہر روز جل کے دیکھتے ہیں
بہت دنوں سے نہیں ہے کچھ اس کی خیر خبر
چلو فرازؔ کو اے یار چل کے دیکھتے ہیں
abhi kuchh aur karishme ghazal ke dekhte hain
faraz ab zara lahja badal ke dekhte hain
judaiyan to muqaddar hain phir bhi jan-e-safar
kuchh aur dur zara sath chal ke dekhte hain
rah-e-wafa mein harif-e-khiram koi to ho
so apne ap se age nikal ke dekhte hain
tu samne hai to phir kyun yaqin nahin ata
ye bar bar jo ankhon ko mil ke dekhte hain
ye kaun log hain maujud teri mahfil mein
jo lalachon se tujhe mujh ko jal ke dekhte hain
ye qurb kya hai ke yak jan hue na dur rahe
hazar ek hi qalib mein dhal ke dekhte hain
na tujh ko mat hui hai na mujh ko mat hui
so ab ke donon hi chalen badal ke dekhte hain
ye kaun hai sar-e-sahil ke dubne wale
samundaron ki tahon se uchhal ke dekhte hain
abhi talak to na kundan hue na rakh hue
ham apni ag mein har roz jal ke dekhte hain
bahut dinon se nahin hai kuchh us ki khair khabar
chalo faraz ko ai yar chal ke dekhte hain