وہ انساں در حقیقت صاحب کردار ہوتا ہے
Zafar Adil Quraishi (b. 1948)وہ انساں در حقیقت صاحب کردار ہوتا ہے
کہ جس انساں کے دل میں جذبۂ ایثار ہوتا ہے
حسیں حسن عمل سے عشق کا دربار ہوتا ہے
محل خوابوں کا لغزش کے سبب مسمار ہوتا ہے
یہ سچ ہے بے سبب دیوانگی ہوتی نہیں یارو
شعور عشق بھی تو زیست کا آزار ہوتا ہے
یقیں کیجے نہیں کچھ فائدہ مضمون بندی سے
نظر ہو جس کی لغزش پر وہی فن کار ہوتا ہے
نگاہ و قلب ہو جاتے ہیں روشن یک بیک میرے
مجھے راہوں میں ان کا جب کبھی دیدار ہوتا ہے
چلو عادلؔ گلے شکوؤں کی تم بھی راہ کو چھوڑو
گلے شکوؤں کا غم بھی زیست کا آزار ہوتا ہے
wo insan dar haqiqat sahab-e-kirdar hota hai
ke jis insan ke dil mein jazba-e-isar hota hai
hasin husn-e-amal se ishq ka darbar hota hai
mahal khwabon ka laghzish ke sabab mismar hota hai
ye sach hai be sabab diwangi hoti nahin yaro
shuur-e-ishq bhi to zist ka azar hota hai
yaqin kije nahin kuchh faida mazmun bandi se
nazar ho jis ki laghzish par wahi fan kar hota hai
nigah-o-qalb ho jate hain raushan yak bayak mere
mujhe rahon mein un ka jab kabhi didar hota hai
chalo adil gale shakoun ki tum bhi rah ko chhoro
gale shakoun ka gham bhi zist ka azar hota hai