الم ہے سوز ہے یادیں ہیں غم ہے وحشت ہے
Zafar Adil Quraishi (b. 1948)الم ہے سوز ہے یادیں ہیں غم ہے وحشت ہے
مرے نصیب میں جو کچھ بھی ہے غنیمت ہے
جس انجمن میں اٹھے اٹھ کے قتل عام کرے
نگاہ ناز کا اٹھنا بھی اک قیامت ہے
یہ اور بات کہ ہے حصن غم سے بیگانہ
حیات عشق مگر حسن کی بدولت ہے
زباں سے اپنی تو دیوانہ کچھ نہیں کہتا
زمانہ دیکھ کے صورت کو محو حیرت ہے
دغا فریب حسد جھوٹ اور مکاری
جفا کے دور میں انساں کی یہ ہی فطرت ہے
تمام عمر نہ ہوگی خرد نوازوں کی
مرے جنوں کی زمانے میں جتنی شہرت ہے
وہ سامنے ہو نظر کے وہ عرض حال کرے
بہت دنوں سے یہ عادلؔ کے دل میں حسرت ہے
alam hai soz hai yaden hain gham hai wahshat hai
mire nasib mein jo kuchh bhi hai ghanimat hai
jis anjuman mein uthe uth ke qatl-e-am kare
nigah-e-naz ka uthna bhi ik qayamat hai
ye aur bat ke hai hisn gham se begana
hayat-e-ishq magar husn ki badaulat hai
zaban se apni to diwana kuchh nahin kahta
zamana dekh ke surat ko mahw-e-hairat hai
dagha fareb-e-hasad jhut aur makkari
jafa ke daur mein insan ki ye hi fitrat hai
tamam umr na hogi khirad nawazon ki
mire junun ki zamane mein jitni shohrat hai
wo samne ho nazar ke wo arz-e-hal kare
bahut dinon se ye adil ke dil mein hasrat hai