کچھ نہیں کھلتا ابتدا کیا ہے
Ved Rahi (b. 1933)کچھ نہیں کھلتا ابتدا کیا ہے
اس خرابات کی بنا کیا ہے
سوچتے ہیں کہ ابتدا کیا تھی
کاش سمجھیں کہ انتہا کیا ہے
نہیں تم ہو ہماری نظروں میں
ہم نہیں جانتے خدا کیا ہے
درد تم نے دیا عنایت کی
مگر اس درد کی دوا کیا ہے
ہم نے دنیا میں کیا نہیں دیکھا
دیکھیے اور دیکھنا کیا ہے
kuchh nahin khulta ibtida kya hai
is kharabat ki bana kya hai
sochte hain ke ibtida kiya thi
kash samjhen ke intiha kya hai
nahin tum ho hamari nazron mein
ham nahin jante khuda kya hai
dard tum ne diya inayat ki
magar is dard ki dawa kya hai
ham ne duniya mein kya nahin dekha
dekhiye aur dekhna kya hai