دل سے جب لو لگی نہیں ہوتی
Ved Rahi (b. 1933)دل سے جب لو لگی نہیں ہوتی
آنکھ بھی شبنمی نہیں ہوتی
جس کو غم نے حیات بخشی ہو
ہر خوشی وہ خوشی نہیں ہوتی
کانٹے جب تک جواں نہیں ہوتے
شاخ گل کی ہری نہیں ہوتی
خاص انداز جب سخن کا نہ ہو
شاعری شاعری نہیں ہوتی
لب پہ جبراً ہنسی بھی لاتے ہیں
درد میں کچھ کمی نہیں ہوتی
dil se jab lo lagi nahin hoti
ankh bhi shabnami nahin hoti
jis ko gham ne hayat bakhshi ho
har khushi wo khushi nahin hoti
kante jab tak jawan nahin hote
shakh-e-gul ki hari nahin hoti
khas andaz jab sukhan ka na ho
shayari shayari nahin hoti
lab pe jabran hansi bhi late hain
dard mein kuchh kami nahin hoti