مرنے کی ادا اور ہے جینے کی ادا اور
M. K. Asar (b. 1945)مرنے کی ادا اور ہے جینے کی ادا اور
جو چاہوں سمجھنا بھی تو روکے ہے انا اور
کچھ سوچ کے قدموں کو نہ دی ہم نے بھی جنبش
الزام نہ رکھ جائے کہیں پھر سے ہوا اور
تکمیل کی منزل ہی مری راہ فنا ہے
کیوں مجھ کو دکھاتے ہو یہاں راہ بقا اور
جب سے میں اکائی کا علم لے کے چلا ہوں
احساس یہ ہوتا ہے جدا ہونے لگا اور
یہ سوچ کے کرتا نہیں طوفاں کا تعاقب
ممکن ہے بدل جائے زمانے کی ہوا اور
یہ کون سی منزل ہے کہ مٹھی نہیں کھلتی
ہے جب کہ مرے سامنے اک کالی بلا اور
marne ki ada aur hai jine ki ada aur
jo chahun samajhna bhi to roke hai ana aur
kuchh soch ke qadmon ko na di ham ne bhi jumbish
ilzam na rakh jae kahin phir se hua aur
takmil ki manzil hi miri rah-e-fana hai
kyun mujh ko dikhate ho yahan rah baqa aur
jab se main ikai ka ilm le ke chala hun
ehsas ye hota hai juda hone laga aur
ye soch ke karta nahin tufan ka taaqub
mumkin hai badal jae zamane ki hawa aur
ye kaun si manzil hai ke mutthi nahin khulti
hai jab ke mire samne ik kali bala aur