جب بھی جان بہار ملتا ہے
Om Parkash Bajaj (b. 1922)جب بھی جان بہار ملتا ہے
دل کو صبر و قرار ملتا ہے
بات دل کی جو ہو تو کیوں کر ہو
وہ سر رہ گزار ملتا ہے
یاد کچھ قافلوں کی آتی ہے
جب بھی اڑتا غبار ملتا ہے
نظم گلشن میں کچھ تو ہے خامی
ہر کوئی سوگوار ملتا ہے
بادۂ تلخ میں کہاں ہمدم
جو نظر میں خمار ملتا ہے
رہروؤں کے خلوص سے اکثر
منزلوں کو وقار ملتا ہے
jab bhi jan-e-bahar milta hai
dil ko sabr-o-qarar milta hai
bat dil ki jo ho to kyun kar ho
wo sar-e-rah guzar milta hai
yad kuchh qafilon ki ati hai
jab bhi urta ghubar milta hai
nazm-e-gulshan mein kuchh to hai khami
har koi sogwar milta hai
bada-e-talkh mein kahan hamdam
jo nazar mein khumar milta hai
rahrauon ke khulus se aksar
manzilon ko waqar milta hai