میں نے تو کبھی اس کو مسلسل نہیں دیکھا
Habib Rehman (b. 1994)میں نے تو کبھی اس کو مسلسل نہیں دیکھا
چہرہ بھی کبھی اس کا مکمل نہیں دیکھا
آنکھوں کے نشہ سے مجھے فرصت ہی نہیں تھی
بس اس لئے میں نے کبھی کاجل نہیں دیکھا
مزدور گرفتار ہے فاقوں کے جہاں میں
ایسوں نے کبھی صبر کا وہ پھل نہیں دیکھا
واجب تھی مری راہ محبت میں وہ ٹھوکر
میں نے کبھی رستے میں جو سگنل نہیں دیکھا
یار دل رحمانؔ جنوں سے ڈرا ہے بس
اس نے یہاں مجھ سا کوئی پاگل نہیں دیکھا
main ne to kabhi us ko musalsal nahin dekha
chehra bhi kabhi us ka mukammal nahin dekha
ankhon ke nasha se mujhe fursat hi nahin thi
bas is liye main ne kabhi kajal nahin dekha
mazdur giraftar hai faqon ke jahan mein
aison ne kabhi sabr ka wo phal nahin dekha
wajib thi miri rah-e-mohabbat mein wo thokar
main ne kabhi raste mein jo signal nahin dekha
yar-e-dil rahman junun se dara hai bas
us ne yahan mujh sa koi pagal nahin dekha