کہہ چکے ہیں سب بچا کچھ بھی نہیں
Kaleem Qaisar Balrampuri (b. 1958)کہہ چکے ہیں سب بچا کچھ بھی نہیں
میرے شعروں میں نیا کچھ بھی
چل رہے ہیں حسرتوں کے نام پر
ہے کہاں جانا پتا کچھ بھی نہیں
دل یہ کہتا ہے کہ میں نے سن لیا
اس نے حالانکہ کہا کچھ بھی نہیں
اب تو قیمت زور و زر کی ہے یہاں
پیار ایثار و وفا کچھ بھی نہیں
سر جھکاتا پھر رہا ہے در بدر
وہ جو کہتا تھا خدا کچھ بھی نہیں
kah chuke hain sab bacha kuchh bhi nahin
mere sheron mein naya kuchh bhi
chal rahe hain hasraton ke nam par
hai kahan jana pata kuchh bhi nahin
dil ye kahta hai ke main ne sun liya
us ne halanke kaha kuchh bhi nahin
ab to qimat zor-o-zar ki hai yahan
pyar isar-o-wafa kuchh bhi nahin
sar jhukata phir raha hai dar badar
wo jo kahta tha khuda kuchh bhi nahin