سنبھل سنبھل کے یہاں زندگی بسر کی ہے
Kaleem Qaisar Balrampuri (b. 1958)سنبھل سنبھل کے یہاں زندگی بسر کی ہے
بڑی طویل کہانی تھی مختصر کی ہے
تو مجھ کو خاک سمجھتا ہے خاک سمجھا کر
مگر یہ دیکھ کہ یہ خاک کس کے در کی ہے
وہ جس کی چھاؤں میں آنے سے جسم جل جائے
تری مثال تو اے دوست اس شجر کی ہے
تمہاری یاد کا مرہم لگائے پھرتے ہیں
یہ چوٹ تم نے جو دی ہے وہ عمر بھر کی ہے
نہ صرف پاؤں ہوئے ذہن و دل بھی شل جس میں
تھکن تو آج بھی قیصرؔ اسی سفر کی ہے
sambhal sambhal ke yahan zindagi basar ki hai
bari tawil kahani thi mukhtasar ki hai
tu mujh ko khak samajhta hai khak samjha kar
magar ye dekh ke ye khak kis ke dar ki hai
wo jis ki chhaon mein ane se jism jal jae
tiri misal to ai dost is shajar ki hai
tumhari yad ka marham lagae phirte hain
ye chot tum ne jo di hai wo umr bhar ki hai
na sirf paon hue zehn-o-dil bhi shil jis mein
thakan to aj bhi qaisar isi safar ki hai