روشن کچھ امکان نہیں ہے
Kaleem Qaisar Balrampuri (b. 1958)روشن کچھ امکان نہیں ہے
گھر میں روشندان نہیں ہے
دنیا سے سمبندہ نہ رکھنا
مشکل ہے آسان نہیں ہے
جسم نظر آتے ہیں لیکن
ان میں کوئی جان نہیں ہے
اس کو تم برباد نہ کرنا
دل افغانستان نہیں ہے
دل سے پڑھ قرآن کو قیصرؔ
غالبؔ کا دیوان نہیں ہے
raushan kuchh imkan nahin hai
ghar mein raushandan nahin hai
duniya se sambanda na rakhna
mushkil hai asan nahin hai
jism nazar ate hain lekin
un mein koi jan nahin hai
us ko tum barbad na karna
dil afghansitan nahin hai
dil se parh quran ko qaisar
ghalib ka diwan nahin hai