جاری تو ہو سب کے لئے فرمان محبت
FaIyaz Rashk (b. 1953)جاری تو ہو سب کے لئے فرمان محبت
کر دیجئے دل سے ذرا اعلان محبت
اس شخص کو دکھ درد ستاتا بھی نہیں ہے
جس دل میں رہا کرتا ہے ایمان محبت
آنکھوں سے بدن سے تری زلفوں کی مہک سے
کرتا ہوں میں دن رات ہی اے جان محبت
کیا کیجیئے میرا نہ ہوا جس کے لئے میں
کرتا رہا ہر موڑ پہ سامان محبت
کچھ بھی نہیں بہتر ہے زمانے میں کہیں پر
دنیا میں نہیں کچھ بھی ہے شایان محبت
مشکل ہیں بہت راستے نفرت کے اے بھائی
ہم سب کے لئے سب سے ہے آسان محبت
ان کے لئے دنیا بھی وسیع ہوتی ہے فیاضؔ
ہوتا ہے وسیع جن کا بھی دامان محبت
jari to ho sab ke liye farman mohabbat
kar dijiye dil se zara elan-e-mohabbat
us shakhs ko dukh dard satata bhi nahin hai
jis dil mein raha karta hai iman-e-mohabbat
ankhon se badan se tiri zulfon ki mahak se
karta hun main din rat hi ai jan-e-mohabbat
kya kijie mera na hua jis ke liye main
karta raha har mor pe saman-e-mohabbat
kuchh bhi nahin behtar hai zamane mein kahin par
duniya mein nahin kuchh bhi hai shayan-e-mohabbat
mushkil hain bahut raste nafrat ke ai bhai
ham sab ke liye sab se hai asan mohabbat
un ke liye duniya bhi wasi hoti hai fayyaz
hota hai wasi jin ka bhi daman-e-mohabbat