وہ جو اپنے تھے وہی ہو گئے ہرجائی بھی
Aabid Jafriوہ جو اپنے تھے وہی ہو گئے ہرجائی بھی
بات پیشانی پہ لکھی ہوئی پیش آئی بھی
دل تو پہلے ہی تھا محصور غم تنہائی
اس پہ دھرنا دئے بیٹھی ہے یہ پروائی بھی
جس طرف رخ ہو ہوا کا یہ برستی ہے وہیں
ابر کی طرح سے ہوتی ہے شناسائی بھی
دل کو رہتی بھی ہے اب محفل یاراں کی تلاش
اور طبیعت ہے کہ اس بزم میں گھبرائی بھی
wo jo apne the wahi ho gae harjai bhi
bat peshani pe likhi hui pesh ai bhi
dil to pahle hi tha mahsur-e-gham-e-tanhai
us pe dharna diye baithi hai ye purwai bhi
jis taraf rukh ho hawa ka ye barasti hai wahin
abr ki tarah se hoti hai shanasai bhi
dil ko rahti bhi hai ab mahfil-e-yaran ki talash
aur tabiat hai ke is bazm mein ghabrai bhi