جھکا سکے نہ مجھے حادثے محبت کے
Hafeez Shahid (1942–2014)جھکا سکے نہ مجھے حادثے محبت کے
وہی ہوں میں تو وہی سلسلے محبت کے
یہ اور بات کہ تم ہی نے امتحاں نہ لیا
سبق تو یاد تھے سارے مجھے محبت کے
تلاش کر انہیں اہرام مصر کی صورت
ہیں دشت دل میں کئی مقبرے محبت کے
بتاؤں میں تجھے انجام آرزو کیسے
بنا رہا ہوں ابھی زائچے محبت کے
ہوا یہ کیسی چلی ہے سر دیار وفا
بجھے بجھے ہیں دلوں میں دیے محبت کے
نہ جانے کیسے مراحل ہیں اس جگہ درپیش
رکے ہوئے ہیں جہاں قافلے محبت کے
رہ وفا میں قدم دیکھ بھال کر رکھنا
کچھ اتنے سہل نہیں راستے محبت کے
کشاکش غم دنیا سے کس کو فرصت ہے
کروں میں کس سے یہاں مشورے محبت کے
ذرا سا بھی مجھے خوف خزاں نہیں شاہدؔ
مہک رہے ہیں ابھی گل کدے محبت کے
jhuka sake na mujhe hadse mohabbat ke
wahi hun main to wahi silsile mohabbat ke
ye aur bat ke tum hi ne imtihan na liya
sabaq to yad the sare mujhe mohabbat ke
talash kar unhen ahram-e-misr ki surat
hain dasht-e-dil mein kai maqbare mohabbat ke
bataun main tujhe anjam-e-arzu kaise
bana raha hun abhi zaiche mohabbat ke
hawa ye kaisi chali hai sar-e-dayar-e-wafa
bujhe bujhe hain dilon mein diye mohabbat ke
na jane kaise marahil hain is jagah darpesh
ruke hue hain jahan qafile mohabbat ke
rah-e-wafa mein qadam dekh bhal kar rakhna
kuchh itne sahl nahin raste mohabbat ke
kashakash-e-gham duniya se kis ko fursat hai
karun main kis se yahan mashware mohabbat ke
zara sa bhi mujhe khauf-e-khizan nahin shahid
mahak rahe hain abhi gul kade mohabbat ke