فکر سود و زیاں میں رہتا ہوں
Hafeez Shahid (1942–2014)فکر سود و زیاں میں رہتا ہوں
میں بھی اس خاکداں میں رہتا ہوں
نیلگوں آسمان کے نیچے
خیمۂ جسم و جاں میں رہتا ہوں
میں ہوں آزاد کب زمانے میں
قید وہم و گماں میں رہتا ہوں
میں محبت کی روشنی بن کر
وقت کی کہکشاں میں رہتا ہوں
میں بہاروں کے رنگ میں ڈھل کر
منظر بوستاں میں رہتا ہوں
جانے کیا بات ہے کہ میں تنہا
محفل دوستاں میں رہتا ہوں
اپنے بوڑھے وجود کے اندر
اک شکستہ مکاں میں رہتا ہوں
فکر اتلاف زندگی کیسا
میں اجل کی اماں میں رہتا ہوں
میں بگولوں کے درمیاں شاہدؔ
دشت عصر رواں میں رہتا ہوں
fikr-e-sud-o-ziyan mein rahta hun
main bhi is khakdan mein rahta hun
nilgun asman ke niche
khema-e-jism-o-jan mein rahta hun
main hun azad kab zamane mein
qaid-e-wahm-o-guman mein rahta hun
main mohabbat ki raushni ban kar
waqt ki kahkashan mein rahta hun
main baharon ke rang mein dhal kar
manzar-e-bostan mein rahta hun
jane kya bat hai ke main tanha
mahfil-e-dostan mein rahta hun
apne burhe wajud ke andar
ik shikasta makan mein rahta hun
fikr-e-itlaf-e-zindagi kaisa
main ajal ki aman mein rahta hun
main bagulon ke darmiyan shahid
dasht-e-asr-e-rawan mein rahta hun