اس شہر میں نشانۂ قاتل ہمی تو ہیں
Hafeez Shahid (1942–2014)اس شہر میں نشانۂ قاتل ہمی تو ہیں
کچھ جابروں کی راہ میں حائل ہمی تو ہیں
جو بیچنے چلے ہیں متاع بہار کو
ان دشمنوں کے مد مقابل ہمی تو ہیں
گلکاریٔ چمن میں ہمارا لہو بھی ہے
رنگینیٔ بہار میں شامل ہمی تو ہیں
جو دولت ہنر کے طلب گار ہیں ابھی
اے رب حرف و صوت وسائل ہمی تو ہیں
جو کھو گئے ہیں پیچ و خم رہ گزار میں
ان سب کے منتظر سر منزل ہمی تو ہیں
اک عمر سے ہیں حلقۂ گرداب میں گھرے
نا آشنائے قربت ساحل ہمی تو ہیں
ہم ہی سے ہے یہ رونق بزم حیات بھی
اس کاروبار وقت کا حاصل ہمی تو ہیں
اس نے عطا کیا ہے غم دو جہاں ہمیں
اس کی نوازشات کے قابل ہمی تو ہیں
ہمراہیان جادۂ دنیا سے کیا گلہ
شاہدؔ خود اپنی ذات سے غافل ہمی تو ہیں
is shahr mein nishana-e-qatil hami to hain
kuchh jabiron ki rah mein hail hami to hain
jo bechne chale hain mata-e-bahar ko
in dushmanon ke mad-e-muqabil hami to hain
gulkari-e-chaman mein hamara lahu bhi hai
rangini-e-bahar mein shamil hami to hain
jo daulat-e-hunar ke talab gar hain abhi
ai rab-e-harf-o-saut-e-wasail hami to hain
jo kho gae hain pech-o-kham-e-rah guzar mein
un sab ke muntazir sar-e-manzil hami to hain
ik umr se hain halqa-e-girdab mein ghire
na ashna-e-qurbat-e-sahil hami to hain
ham hi se hai ye raunaq-e-bazm-e-hayat bhi
is karobar waqt ka hasil hami to hain
us ne ata kya hai gham-e-do jahan hamen
us ki nawazshat ke qabil hami to hain
hamrahyan-e-jada-e-duniya se kya gila
shahid khud apni zat se ghafil hami to hain