بے وطن ہوں وطن میں آکر بھی
Haatif Aarifi Fatehpuriبے وطن ہوں وطن میں آکر بھی
جل رہا ہوں چمن میں آکر بھی
میری ہستی کا پوچھتے کیا ہو
جان بے جاں ہے تن میں آکر بھی
پائی ناقدریٔ ادب اکثر
ہم نے بزم سخن میں آکر بھی
رکھا تیر ستم مری جانب
اس نے دیوانہ پن میں آکر بھی
بد نمائی نہ چھپ سکی دل کی
خوش نما پیرہن میں آکر بھی
بے سکوں ہی رہے سدا کی طرح
ہم تری انجمن میں آکر بھی
حیف پائی نہیں اماں ہاتفؔ
شہر والوں نے بن میں آکر بھی
be watan hun watan mein akar bhi
jal raha hun chaman mein akar bhi
meri hasti ka puchhte kya ho
jan-e-be jan hai tan mein akar bhi
pai naqadri-e-adab aksar
ham ne bazm-e-sukhan mein akar bhi
rakha tir-e-sitam miri janib
us ne diwana pan mein akar bhi
bad numai na chhup saki dil ki
khush numa pairahan mein akar bhi
be sukun hi rahe sada ki tarah
ham tiri anjuman mein akar bhi
haif pai nahin aman hataf
shahr walon ne ban mein akar bhi