دیوار اختلاف کی اتنی بلند ہے
Ghail Fareediدیوار اختلاف کی اتنی بلند ہے
رسماً بھی اب سلام و دعا ان سے بند ہے
سچ بات کہہ کے سب کی نظر سے ہوئے ہیں دور
تھی کب خبر زمانہ خوشامد پسند ہے
واقف نہیں زمانے کی حق بات سے جو شخص
دنیا سمجھ رہی ہے اسے ہوش مند ہے
اک در پہ سر جھکا کے یہ عزت ملی مجھے
دنیا کے سامنے مرا اب سر بلند ہے
ثابت قدم رہو گے محبت میں عہد ہے
یا صرف یہ معاہدۂ تاشقند ہے
گھائلؔ تمہارے بارے میں کہتے ہیں اب بھی لوگ
ہیں خامیاں بہت مگر اخلاق مند ہے
diwar ikhtilaf ki itni buland hai
rasma bhi ab salam-o-dua un se band hai
sach bat kah ke sab ki nazar se hue hain dur
thi kab khabar zamana khushamad pasand hai
waqif nahin zamane ki haq bat se jo shakhs
duniya samajh rahi hai use hosh mand hai
ik dar pe sar jhuka ke ye izzat mili mujhe
duniya ke samne mira ab sar buland hai
sabit qadam rahoge mohabbat mein ahd hai
ya sirf ye muahada-e-tashqand hai
ghayal tumhare bare mein kahte hain ab bhi log
hain khamiyan bahut magar akhlaq mand hai