سورج سے بھی آگے کا جہاں دیکھ رہا ہے
Ehsan Saqib (b. 1943)سورج سے بھی آگے کا جہاں دیکھ رہا ہے
اس دور کا انسان کہاں دیکھ رہا ہے
حالات نے جس کے سبھی پر کاٹ دئے ہیں
وہ آج بھی منزل کا نشاں دیکھ رہا ہے
عیار بہت ہے یہاں تخریب کا موجد
وہ برف کے جنگل میں دھواں دیکھ رہا ہے
اک روز پکڑ لے گا وہ قاتل کا گریباں
جو وقت کی رفتار زباں دیکھ رہا ہے
صدیوں کے تعلق کا یہ احساس ہے شاید
صحرا میں حقیقت کو عیاں دیکھ رہا ہے
اس سرپھرے موسم کا بھروسہ نہیں ثاقبؔ
ماحول کا سب بار گراں دیکھ رہا ہے
suraj se bhi age ka jahan dekh raha hai
is daur ka insan kahan dekh raha hai
halat ne jis ke sabhi par kat diye hain
wo aj bhi manzil ka nishan dekh raha hai
ayyar bahut hai yahan takhrib ka mujid
wo barf ke jangal mein dhuan dekh raha hai
ik roz pakar lega wo qatil ka gareban
jo waqt ki raftar zaban dekh raha hai
sadiyon ke taalluq ka ye ehsas hai shayad
sahra mein haqiqat ko ayan dekh raha hai
is sarphire mausam ka bharosa nahin saqib
mahaul ka sab bar-e-giran dekh raha hai