بجھا چکی ہے ہوا جس کو وہ دیا بھی میں
M R Qasmi (b. 1953)بجھا چکی ہے ہوا جس کو وہ دیا بھی میں
مگر یہ دیکھ بہت دیر تک جلا بھی میں
طویل دھوپ کی شدت ہواؤں کی یورش
سہی بھی میں نے سر دشت غم کھلا بھی میں
ملے قیام کے احکام بھی مجھی کو یہاں
مسافتوں کا پرستار ایک تھا بھی میں
مرے نصیب میں پت جھڑ کے راستوں کا سفر
سدا بہار دیاروں سے آشنا بھی میں
مجھی سے آئی تھی ملنے اداس چاندنی رات
اگر یہ جانتا ہوتا تو جاگتا بھی میں
مری طرف تھیں کبھی بارشیں بھی پھولوں کی
حصار سنگ و صدا میں گھرا ہوا بھی میں
یہ سوچتا ہوں کہوں خود کو قاسمیؔ! میں کیا؟
سکوت بھی مرے اندر بہت صدا بھی میں
bujha chuki hai hawa jis ko wo diya bhi main
magar ye dekh bahut der tak jala bhi main
tawil dhup ki shiddat hawaon ki yurish
sahi bhi main ne sar-e-dasht-e-gham khula bhi main
mile qayam ke ahkam bhi mujhi ko yahan
masafaton ka parastar ek tha bhi main
mire nasib mein pat jhar ke raston ka safar
sada bahar dayaron se ashna bhi main
mujhi se ai thi milne udas chandni rat
agar ye janta hota to jagta bhi main
miri taraf thin kabhi barishen bhi phulon ki
hisar-e-sang-o-sada mein ghira hua bhi main
ye sochta hun kahun khud ko qasimi! mein kiya?
sukut bhi mire andar bahut sada bhi main