دوست کہتے ہیں ترے دشت وفا میں کیسے
Ahmad Nadeem Qasmi (1916–2006)دوست کہتے ہیں ترے دشت وفا میں کیسے
اتنی خوشبو ہے مہکتا ہو گلستاں جیسے
گو بڑی چیز ہے غم خواریٔ ارباب وفا
کتنے بیگانۂ آئین وفا ہیں یہ لوگ
زخم در زخم محبت کے چمن زار میں بھی
فقط اک غنچۂ منطق کے گدا ہیں یہ لوگ
میں انہیں گلشن احساس دکھاؤں کیسے
جن کی پرواز بصیرت پر بلبل تک ہے
وہ نہ دیکھیں گے کبھی حد نظر سے آگے
اور مری حد نظر حد تخیل تک ہے
دل کے بھیدوں کو بھی منطق میں جو الجھاتے ہیں
یوں سمجھ لیں کہ ببولوں میں بھی پھول آتے ہیں
dost kahte hain tire dasht-e-wafa mein kaise
itni khushbu hai mahakta ho gulistan jaise
go bari chiz hai gham khwari-e-arbab-e-wafa
kitne begana-e-ain-e-wafa hain ye log
zakhm dar zakhm-e-mohabbat ke chaman zar mein bhi
faqat ik ghuncha-e-mantiq ke gada hain ye log
main unhen gulshan-e-ehsas dikhaun kaise
jin ki parwaz basirat par bulbul tak hai
wo na dekhenge kabhi had-e-nazar se age
aur miri had-e-nazar had-e-takhayyul tak hai
dil ke bhedon ko bhi mantiq mein jo uljhate hain
yun samajh len ke babulon mein bhi phul ate hain