مجھے جمال بدن کا ہے اعتراف مگر
Ahmad Nadeem Qasmi (1916–2006)مجھے جمال بدن کا ہے اعتراف مگر
میں کیا کروں کہ ورائے بدن بھی دیکھتا ہوں
یہ کائنات فقط ایک رخ نہیں رکھتی
چمن بھی دیکھتا ہوں اور بن بھی دیکھتا ہوں
مری نظر میں ہیں جب حسن کے تمام انداز
میں فن بھی دیکھتا ہوں فکر و فن بھی دیکھتا ہوں
نکل گیا ہوں فریب نگاہ سے آگے
میں آسماں کو شکن در شکن بھی دیکھتا ہوں
وہ آدمی کہ سبھی روئے جن کی میت پر
میں اس کو زیر کفن خندہ زن بھی دیکھتا ہوں
میں جانتا ہوں کہ خورشید ہے جلال مآب
مگر غروب سے خود کو رہائی دیتا نہیں
میں سوچتا ہوں کہ چاند اک جمال پارہ ہے
مگر وہ رخ جو کسی کو دکھائی دیتا نہیں
میں سوچتا ہوں حقیقت کا یہ تضاد ہے کیا
خدا جو دیتا ہے سب کچھ خدائی دیتا نہیں
وہ لوگ ذوق سے عاری ہیں جو یہ کہتے ہیں
کہ اشک ٹوٹتا ہے اور سنائی دیتا نہیں
بدن بھی آگ ہے اور روح بھی جہنم ہے
مرا قصور یہ ہے میں دہائی دیتا نہیں
mujhe jamal badan ka hai etiraf magar
main kya karun ke warae badan bhi dekhta hun
ye kainat faqat ek rukh nahin rakhti
chaman bhi dekhta hun aur ban bhi dekhta hun
miri nazar mein hain jab husn ke tamam andaz
main fan bhi dekhta hun fikr-o-fan bhi dekhta hun
nikal gaya hun fareb-e-nigah se age
main asman ko shikan dar shikan bhi dekhta hun
wo admi ke sabhi roe jin ki mayyat par
main us ko zer-e-kafan khanda zan bhi dekhta hun
main janta hun ke khurshid hai jalal mab
magar ghurub se khud ko rihai deta nahin
main sochta hun ke chand ik jamal-e-para hai
magar wo rukh jo kisi ko dikhai deta nahin
main sochta hun haqiqat ka ye tazad hai kya
khuda jo deta hai sab kuchh khudai deta nahin
wo log zauq se ari hain jo ye kahte hain
ke ashk tutta hai aur sunai deta nahin
badan bhi ag hai aur ruh bhi jahannam hai
mira qusur ye hai main duhai deta nahin